Labels

Sunday, May 5, 2013

Socha nahi aage kya hoga!

Image Courtesy : Google Images

Khoobsurat hasi dekhi uski,
Dekha uska saaf dil...
Pyar kar baitha usse,
Socha nahi aage kya hoga ...

Ek nayi duniya ka sapna dekha,
Jaha sirf woh thi aur tha main..
Hazaar khwaab piroye,
Socha nahi aage kya hoga ..

Sab kuch luta diya us par,
Pyar me uske majnu bana..
Laga ek din woh meri hogi,
Socha nahi aage kya hoga ...

Phir pata chala mazhab ke bare,
Woh  jisne mere pyar ko tod diya..
Ladta raha mazhab ke rakhwalo se,
Socha nahi aage kya hoga ..

Haar gaya, dur ho gaya usse ek din,
Uski yaadon me ab bhi jita hu ...
Umeed ab bhi zinda hain usse pane ki,
Socha nahi aage kya hoga!


You can succeed in making them go away from each other on the name of religion, but can you ever succeed in making them forget each other ever? 

1 comment:

Anonymous said...

Kabhi kabhi kuch aisa padh lete hain ki shabdh nahin nikalte bas iss waqt yehi bol sakta hoo ki kuch soch nahin paa raha aage.