Labels

Wednesday, April 10, 2013

Tere liye mere yaar!

I was told by one my close friends that I always have all the time in the world to write poems for a girl but i never wrote anything for him till date. And that made me write this. He's a guy who's selfless and would never back away from helping his friends. So, though this is about him, I'm sure many of you will relate to it, as we all have at least one friend like that in our lives!

Bane chahe dushman zamana hamara, salaamat rahe dostana hamara!

Haazaro taklifo ka tu shikar,
Phir bhi hasi ka pitara tere paas...
Dushmano ki jagah nahi teri zindagi mein,
Tune hamesha dost hi banaye khaas...

Jab bataya tujhe apni taklif ke bare mein,
Us taklif ko tune apne sar le liya...
Meri taklif ko apna banake,
Mujhe gale se laga liya...

Khuda bhi deta hoga teri misal,
Aur karta hoga tujh pe fakr...
Tu wahi chiz hain jo usne sadiyon pehli banayi,
Aur muddato baad nazar aayi...

Tere bare mein kya kahu mere dost,
Teri shaksiyat ki tarah teri dosti bhi hain pak...
Dosti hum bhi nibhayenge teri,
Bas zindagi deti rahein apna sath... 

2 comments:

conections said...

humne to yahi seekha mere dost, jis cheez ko jitna paak tareeke se chaao, aur usse rakho....wo utni izzaat deti hai,....har nazar meri tujhse judi hai, teri dosti meri zindagi se badi hai...........Thanks amar jajoo, aapne iss kabil samjha hume aur hamari dosti ko.....

Amar Ashok Jajoo said...

Thanks bhai for your friendship and to be apart of my life :) :)